Amitabh Bachchan Ki Hairat Angaiz Kahani

Amitabh Bachchan Ki Hairat Angaiz Kahani – Chand Minute Maut Aur Phir Zindagi

Mashhoor Bharati actor Amitabh Bachchan ne aik interview mein sabko hairan kar dene wala waqiya bayan kiya. Unhon ne kaha ke aik dafa woh chand minute ke liye asal mein “mar” gaye the aur phir wapas zinda hue. Yeh anokha tajurba sunkar unke fans bhi shock ho gaye.

Amitabh ne bataya ke us waqt unka saans lena ruk gaya tha aur doctors ne unhe clinically dead declare kar diya tha. Lekin chand minute baad unke andar phir se life aayi aur woh dobara hosh mein aa gaye. Unka kehna tha ke yeh tajurba unki zindagi ka sabse bara sabak tha.

Unhon ne kaha ke us waqt unhe mehsoos hua ke zindagi kitni qeemti hai aur maut kitni qareeb hoti hai. Yeh waqiya sun kar log bhi sochnay par majboor ho gaye ke duniya ke sab se bade sitare bhi maut ke samne bebas hain. Amitabh ka yeh tajurba unki zindagi mein ek nayi roshni le kar aaya.


Leave a Comment