American Pilot Ka Hairat Angaiz Tajurba

American Pilot Ka Hairat Angaiz Tajurba

Ek American pilot ka ek dilchasp waqiya samne aaya hai jo usne Saudi Arabia se flight ke doran mehsoos kiya. Pilot ne kaha ke jab usne apna plane Saudi airport se udaaya to usne dekha ke wahan ki khawateen burqa aur purdah mein safar kar rahi thin. Yeh manzar uske liye bohot unique tha aur usne kaha ke yeh uske dil par gehra asar chorh gaya.

Pilot ne apne tajurbe ka zikar karte hue kaha ke duniya ke bohot se mulkon mein modernization ka trend hai, lekin Saudi Arabia mein log ab bhi apni tehzeeb aur deen ko fakhr se follow karte hain. Usne kaha ke asli freedom yeh hai ke insan apne culture aur religion ke sath dignity ke sath zindagi guzare.

Is bayan ke samne aane ke baad social media par logon ne mix reactions diye. Bohat se Muslims ne kaha ke yeh Islam ki khoobsurti hai jo modesty aur dignity ka paigham deta hai. Yeh kahani humein yeh sabak deti hai ke chahe duniya kitni bhi modern ho jaye, apni tehzeeb aur deen par fakhr karna hi asal identity hai.


Leave a Comment